Kitni aziat se us ne mujh ko bhoolaya hoga
Meri yaadon ne usay khoob roolaya hoga…
Baat bay baat ankh us ki jo chalakti hogi
Us ne chehre ko bazoon mein chupaya hoga…
Socha hoga us ne din mein kaiy baar mujhay
Naam hatheli pe bhi likh likh kay mitaya hoga…
Jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se
Uski ankho mein koi ansoo toh zaroor aaya hoga…
Raat kay bheegne tak neend na aayi hogi tujhe
Tu ne takiye ko bhi senay se lagaya hoga…
Ho ke nidhaal mere yaado se tu na jaana
Meri tasveer pe sar apna tikaya hoga…
Poocha hoga jo kisi ne teri haalat ka sabab
Tu ne baato mei khub us se chupaya hoga…
Jab kabhi chand ko dekha akelay tu ne
Tujhay Mera saath bada yaad aaya hoga…
Recent Comments