Teri Har aik ada hum ko bhaney lagee hai……
Lagta hai, zindagi tumko chahnay lagee hai.
Izhaar-e-Tamanna pe woh tazabzub ka shikaar hai….
Meri bechain nazar ussay uljhaanay lagee hai.
Phir say khayaalon mein rehnay laga hai Dil
Shairee phir say mujh ko behkaanay lagee hai.
Woh Bohat haseen hai magar pur-faraib bhee
Dil laga kar ab daaman chudanay lagee hai
Shaam hotay hi muztarib honay laga hai dil.
Teri yaad phir say mujhko satanay lagee hai
Tahir ussay paakar sukoon-e-Dil howa haasil
Meri har ek saans ab thak-janay lagee hai
Hello
Great book. I just want to say what a fantastic thing you are doing! Good luck!
G’night