Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai….

26 01 2008

 

JO naa mil Sakaa Wohi Bewafaa
Badi Ajeeb si yeh Baat hai….
Jo chalaa Gayaa Mujhe chodhkar
Wohi Aaj tab Mere Saath hai.





Umr bhar rulane ke liye….

31 08 2007

 

Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye





Har Dil ka ek Raaz Hota Hai….

31 08 2007

Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.





Phoolon ke bistar pe bhi soya naa gaya….

17 05 2007

Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.





Bewafa kahan tak hai….

5 06 2006

Mat puch mujhse mere sabr ki hadh kaha tak hai,
Sataa ke dekh le zalim teri takat jaha tak hai,
Kisi aur ko hogi tujhse wafa ki umeed,
Mujhe to Dekhna yeh hai ki Tu Bewafa kahan tak hai…





Bewafaa Bataakar Aaye hai….

5 06 2006

Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….