Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha Tha Maine Mann Mein Kai Baar
Woh Pehli Nazar, Halka Sa Asar
Karta Hai Kyun Is Dil Ko Bekaraar?
Ruk Ke Chalna, Chalke Rukna
Na Jaane Tumhe Hai Kiska Intezaar?
Tera Woh Yakin Kahin Main Toh Nahin
Lagta Hai Yehi Kyon Mujhko Baar Baar?
Yehi Sach Hai, Shayad Maine Pyar Kiya
Aate Jaate, Hanste Gaate
Socha tha Maine Mann mei kai Baar
Hothon ki kali, kuch aur Khili,
Yeh Dil pe hua hai kiska Ikhtiyaar
Tum kaun ho? Batla toh do
Kyun karne lagi main tum pe Aetbaar
Khamosh Rahun, yaa main keh doon
Ya karlu main chupke se yeh sweekar?
Yehi sach hai shaayad Maine Pyaar Kiya
Haan Haan tumse, Maine Pyaar Kiya
Recent Comments